gham nahin go ai falak rutba hai mujh ko khar ka aaftab ek zard patta hai mere gulzar ka zulf ke halqe mein uljha sabza gosh-e-yar ka ho gaya sang-e-zamurrad khal chashm-e-mar ka nakhuda hai maut jo dam hai so hai baad-e-murad azm hai kashti-e-tan ko bahr-e-hasti yar ka khana-e-zanjir se misl-e-sada darta hun ab yaad aata hai kaf-e-pa mein khatakna khar ka josh-e-girya ne kiya hai na-tawan itna mujhe tutna mumkin nahin hai aansuon ke tar ka kha gai aakhir mujhe chashm-e-siyah-e-surmagin zarq qismat ne kiya hai zangi aadam-khwar ka sai-e-la-hasil mudawa-e-mariz-e-ishq hai thamna mumkin nahin girti hui diwar ka hath qatil ka gareban tak pahunch sakta nahin aur fart-e-shauq hai yan zakhm damn-dar ka phul jo hai apne gulshan ka sipar ka phul hai har shajar is bagh mein lata hai phal talwar ka khatt-e-ru-e-yar se iza uthai hai zi-bas sabza se hota hai sadma mere dil ko khar ka garche pesh-e-taq-e-abru-e-sanam gesu nahin kaba par nargha hua hai lashkar-e-kuffar ka ai sanam teri karanji aankh se sabit hua rang ud jata hai ru-e-mardum-e-bimar ka yaad mein teri raqib-e-ru-siyah jaga to kya martaba aali na ho khuffash-e-shab-bedar ka us pari-ru ke jo kuche ka guzarta hai khayal ban ke jin saya lipta hai mujhe diwar ka uth ke diwar-e-lahad se murde takraate sar ek qayamat hai sanam aalam teri raftar ka kham nadamat se kiya mehrab mein kaba ke sar gardan-e-zahid se bojh uttha na jab zunnar ka zindagi mein be-adab hone na de tu roab-e-husn khak hai meri pas-az-marg aur daman yar ka ai sanam aashiq se ruposhi nahin lazim tujhe parda musa se nahin allah ko didar ka bu-e-gul 'atish' kahin hoti hai mahsus-e-nazar afza hai roz-e-mahshar yar ke didar ka