gham nahin hota hai aazadon ko besh az-yak-nafas

gham nahin hota hai aazadon ko besh az-yak-nafas
barq se karte hain raushan sham-e-matam-khana hum

mahfilen barham kare hai ganjifa-baz-e-khayal
hain waraq-gardani-e-nairang-e-yak-but-khana hum

bawajud-e-yak-jahan hangama paidai nahin
hain charaghan-e-shabistan-e-dil-e-parwana hum

zoaf se hai ne qanaat se ye tark-e-justuju
hain wabaal-e-takiya-gah-e-himmat-e-mardana hum

daim-ul-habs is mein hain lakhon tamannaen 'asad'
jaante hain sina-e-pur-khun ko zindan-khana hum

bas-ki hain bad-mast-e-ba-shikan ba-shikan-e-mai-khana hum
mu-e-shisha ko samajhte hain khat-e-paimana hum

bas-ki har-yak-mu-e-zulf-afshan se hai tar-e-shuaa
panja-e-khurshid ko samjhe hain dast-e-shana hum

mashq-e-az-khud-raftagi se hain ba-gulzar-e-khayal
aashna tabir-e-khwab-e-sabza-e-begana hum

fart-e-be-khwabi se hain shab-ha-e-hijr-e-yar mein
jun zaban-e-shama dagh-e-garmi-e-afsana hum

sham-e-gham mein soz-e-ishq-e-atish-e-rukhsar se
par-fashan-e-sokhtan hain surat-e-parwana hum

hasrat-e-arz-e-tamanna yan se samjha chahiye
do-jahan hashr-e-zaban-e-khushk hain jun shana hum

kashti-e-alam ba-tufan-e-taghaful de ki hain
aalam-e-ab-e-gudaz-e-jauhar-e-afsana hum

wahshat-e-be-rabti-e-pech-o-kham-e-hasti na puchh
nang-e-baalidan hain jun mu-e-sar-e-diwana hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close