gham-zada hum hain ye kahna chhoD do

gham-zada hum hain ye kahna chhod do
ya hamare sath rahna chhod do

chahiye gar zindagani ka maza
waqt ki lahron mein bahna chhod do

shak karenge log ashkon par mere
is tarah aankhon mein rahna chhod do

zabt-e-gham achchhi alamat hai magar
phir bhi tanhai mein rahna chhod do

jitni mil jae khushi lete raho
gham agar mushkil hai sahna chhod do

dushmanon se kar lo samjhauta 'kiran'
doston ka zulm sahna chhod do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close