ghamon ki dhup kaDi dopahar se guzre hain

ghamon ki dhup kadi dopahar se guzre hain
tamam umr jhulasti dagar se guzre hain

hamari palkon se tapke na kyun giran-khwabi
faraaz-e-shab se tulu-e-sahar se guzre hain

ajib baat hai ghar ka nishan nahin milta
hazar bar unhi diwar-o-dar se guzre hain

kabhi sukun hai kabhi iztirab ka aalam
ajib kaifiyat-e-khair-o-shar se guzre hain

bharosa kaun kare ab sada-e-sahra ka
misal-e-gard isi rahguzar se guzre hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close