ghar ki tasalliyon mein jawaz-e-hunar to hai in jangalon mein raat ka jhuta safar to hai jis ke liye hawaon se munh ponchhti hai nind is jurat-e-hisab mein khwabon ka dar to hai khulti hain aasman mein samundar ki khidkiyan be-din raston pe kahin apna ghar to hai raushan koi charagh mazar-e-hawa pe ho palkon pe aaj raat ghubar-e-sahar to hai