ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain

ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain
aur jo ham-sae hain aawaz mein mar jate hain

kabk o taus ko chalta hai tu thahra ke to hum
teri raftar ke andaz mein mar jate hain

muzhda ai yas ki yan kunj-e-qafas ke qaidi
yak-ba-yak mausam-e-parwaz mein mar jate hain

hain tere ramz-e-tabassum ke ada-fahm jo shakhs
jumbish-e-lal-e-fusun-saz mein mar jate hain

lab hilane nahin pata wo ki hum nadida
bas wahin baat ke aaghaz mein mar jate hain

tausan-e-naz ko phenke hai wo jis dam sarpat
log kya kya na tag-o-taz mein mar jate hain

'mushafi' dasht-e-bala ka safar aasan hai kya
saikadon basra o shiraaz mein mar jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close