ghar mein hun go hunut-shuda lash ki tarah

ghar mein hun go hunut-shuda lash ki tarah
phirti hai ruh shahr mein obash ki tarah

bazicha-e-faraina-e-misr dekhna
hum aahani giraft mein hain tash ki tarah

ye jaan-e-na-tawan bhi hai kya samra-e-hayat
rakh di gai hai kat ke ek qash ki tarah

sukh ki zamin basit nahin hai to kya hua
dukh to mera wishaal hai aakash ki tarah

shayad mera wajud hi pasmanda khak ho
khali hai bazm-e-yar mein qallash ki tarah

khinchta chala hun main kisi patal ki taraf
har anjuman hai markaz-e-purkhash ki tarah

sau bar maskh ho ke bhi tamir-e-zindagi
pur-nur hai manara-e-zau-pash ki tarah

baqi hai hum se daman-e-roz-e-jaza ki laj
go zindagi ata hui padash ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close