ghar to hamara shoalon ke narghe mein aa gaya

ghar to hamara shoalon ke narghe mein aa gaya
lekin tamam shahr ujale mein aa gaya

ye bhi raha hai kucha-e-jaanan mein apna rang
aahat hui to chand dariche mein aa gaya

honton pe ghibaton ki kharashen liye hue
ye kaun aainon ke qabile mein aa gaya

aandhi bhi bachpane ki hadon se guzar gai
mujh ko bhi lutf shama jalane mein aa gaya

kuchh der tak to us se meri guftugu rahi
phir ye hua ki wo mere lahje mein aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close