gharaz rahbar se kya mujh ko gila hai jazb-e-kaamil se ki jitna badh raha hun hat raha hun dur manzil se sukut-e-be-mahal taqrir-e-be-mauqa ki tohmat kyun uthana ho to yun hum ko utha do apni mahfil se ye arman-e-taraqqi aaj hai dawa khudai ka usi dil ka jo kal tak tha lahu ki bund mushkil se gul-o-lala pe aakhir kar raha hai ghaur kya gulchin ye wo khun hai jo tapka tha kabhi chashm-e-anadil se shab-e-mahtab dariya ka kinara aur ye sannata tumhein is saz par hum khush karenge naghma-e-dil se ghazab hai jal ke parwanon ka un ki bazm mein kahna 'rawan' ya yun fida ho jao ya uth jao mahfil se