gharib aadmi ko ThaT padshahi ka

gharib aadmi ko that padshahi ka
ye pesh-khema hai zalim teri tabahi ka

khadang-e-ah ko roke raha hun furqat mein
khayal hai mujhe aflak ki tabahi ka

umid kaise ho mahshar mein surkh-rui ki
hamesha kaam kiya ho jo ru-siyahi ka

salam tak nahin lete kalam to kaisa
faqiri mein bhi tabakhtur hai baadshahi ka

shikast-o-fath ka zimma nahin dil-e-nadan
lade hazar mein ye kaam hai sipahi ka

khizab karte hain duniya se jab gae guzre
shugun karte hain piri mein ru-siyahi ka

na aasman ki inayat na mehrban wo shokh
na puchho haal gharibon ki be-panahi ka

safed baalon pe kis waste khizab lagaen
gaya zamana jawani mein ru-siyahi ka

khataen ho gain madum haj se ai 'parwin'
gawah khud hai khuda meri be-gunahi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close