ghash bhi aaya meri pursish ko qaza bhi aai be-murawwat tujhe kuchh sharm o haya bhi aai mausam-e-husn to tha fasl-e-jafa bhi aai sath hi sath jawani ki ada bhi aai dam ka aankhon mein atakna bhi mubarak na hua waqt ki baat tum aae to qaza bhi aai main shab-e-wasl ye samjha ki sahar bhi kuchh hai wo jo aae to moazzin ki sada bhi aai un marizon ki ayaadat ko wo ab nikle hain maut ja kar jinhen mitti mein mila bhi aai kar diya soz-e-darun ne mujhe shama sar-e-bazm ban gai dam pe agar pas hawa bhi aai kan yun un ke bhare hain meri fariyaadon ne nale samjhe jo koi aur sada bhi aai phir bhi 'saqib' na udi tala-e-khufta ki nind aah ja kar meri gardun ko hila bhi aai
Please share if you liked this!!!