ghaTaon ki udasi pi raha hun

ghataon ki udasi pi raha hun
main ek gahra samundar ban gaya hun

teri yaadon ke angaron ko aksar
tasawwur ke labon se chumta hun

koi pahchanne wala nahin hai
bhare bazar mein tanha khada hun

mera qad kitna uncha ho gaya hai
falak ki wusaton ko napta hun

wo yun mujh ko bhulana chahte hain
ki jaise main bhi koi hadisa hun

badalte mausamon ki diary se
tere bare mein aksar puchhta hun

mere kamre mein yaaden so rahi hain
main sadkon par bhatakta phir raha hun

ubharte dubte suraj ka manzar
bason ki khidkiyon se dekhta hun

kisi ki yaad ke patton ko 'azar'
hawaon se bacha kar rakh raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close