ghaTti baDhti raushniyon ne mujhe samjha nahin

ghatti badhti raushniyon ne mujhe samjha nahin
main kisi patthar kisi diwar ka saya nahin

jaane kin rishton ne mujh ko bandh rakkha hai ki main
muddaton se aandhiyon ki zad mein hun bikhra nahin

zindagi biphre hue dariya ki koi mauj hai
ek dafa dekha jo manzar phir kabhi dekha nahin

har taraf bikhri hui hain aaine ki kirchiyan
reza reza aks hain salim koi chehra nahin

kahte kahte kuchh badal deta hai kyun baaton ka rukh
kyun khud apne-ap ke bhi sath wo sachcha nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close