ghaugha-e-pand go na raha nauhagar raha hangama ek na ek mere baalin par raha eajaz-e-dil-farebi-e-andaz dekhna har har ada pe mujh ko guman-e-nazar raha qasid bhi koi sabr-e-dil-e-na-shakeb tha aate hi aate rah mein kam-bakht mar raha parhez-e-ishq se mujhe wahshat fuzun hui to main kuchh dawa se aur bhi ranjur-tar raha hai pa-e-harza-naz mein kya gardish-e-nasib do din na chain se sar-e-shorida-sar raha uth uth ke sath sath mere thak ke rah gaya main kuchh tapish mein dard se betab-tar raha