ghirte baadal mein tanhai kaisi lagti hai

ghirte baadal mein tanhai kaisi lagti hai
milan ka mausam aur judai kaisi lagti hai

sune man ke taron se jab baaten hoti hon
duje aangan ki shahnai kaisi lagti hai

dil ki chot ubhar aae aur zakhm hare ho jaen
yaadon ki chalti purwai kaisi lagti hai

tum ko shahr-e-khayal mein rahna kaisa lagta hai
wo basti jo dil ne basai kaisi lagti hai

chadhte rup ki suraj dewta aur bhi man badhaen
dhundli aankhon ki binai kaisi lagti hai

jag bite jab jagmag ye dil us ki jot se tha
ab jo wo surat phir yaad aai kaisi lagti hai

dil to apna bhar bhar aae niyyat nahin bhare
umr ka hasil aisi kamai kaisi lagti hai

bachpan aur jawani budhi umr ke dar pe hain
tinon zamanon ki yakjai kaisi lagti hai

'baqar' sari umr guzari ku-e-malamat mein
aakhir umr ki ye ruswai kaisi lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close