ghulam wahm o guman ka nahin yaqin ka hun

ghulam wahm o guman ka nahin yaqin ka hun
zamin mera sitara hai main zamin ka hun
wo aur honge parastar takht walon ke
main jaan-nisar shah-e-boriya-nashin ka hun
sawad-e-ruh ke manzar madina jaise hain
khayal aata hai main bhi yahin kahin ka hun
suno ki wirse mein batti hui amanat hun
main haraf-e-sidq lab-e-sadiq-o-amin ka hun
bhatak raha hun khala ke sarab-zaron mein
main koi sajda aqidat-bhari jabin ka hun
This is a great ghulam farid shayari. True lovers of amanat ki shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this sm sadiq shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!