ghuncha-e-dil ki bikharta bhi dikhai na diya aisa bikhra ki ishaara bhi dikhai na diya kis ke ham-rah nazar aata tha tanha tanha kis se bachhda hun ki tanha bhi dikhai na diya raushni ki wo chaka-chaundh thi aankhon mein ki hum shahr se nikle to sahra bhi dikhai na diya sard-mehri-e-zamana ki sulagti hui aag kya bala thi ki dhuan sa bhi dikhai na diya un kitabon pe to hum ne bhi kiya hai kuchh kaam jin mein ek harf-e-tamanna bhi dikhai na diya bas chale the ki ghubar-e-rah-e-manzil uttha chehre wo badle ki apna bhi dikhai na diya raat bhar khun ke dariya mein nahaya khurshid daman-e-subh pe dhabba bhi dikhai na diya sara aalam tha ki tarik nazar aata tha aur 'mahshar' ko dhundlaka bhi dikhai na diya