gil ka wo ruKH bahaar ke aaghaz se uTha

gil ka wo rukh bahaar ke aaghaz se utha
shoala sa andalib ki aawaz se utha

nau-dast zakhma-war ne mita di had-e-kamal
parde jale tamam dhuan saz se utha

jaise dua-e-nim-shabi ka surud ho
ek shor mai-kade mein is andaz se utha

mahzar liye junun mein sawal-o-jawab ka
parda sa ek dida-e-ghammaz se utha

baqi abhi hai tangi-o-wusat mein ek farq
is ko bhi jumbish-e-lab-e-eajaz se utha

isyan sarisht-o-paki-e-daman ki ek dalil
kya lutf husn-e-tafraqaأpardaz se utha

wo shakhs tha muraqqa-e-mani ki ek zid
rang-e-hazar husn-e-junnun-saz se utha

kante zamin se aur ziyaada hue tulua
ek masala bahaar ke aaghaz se utha

banti mata-e-kashf to kya aaine ki chhut
lazzat hi kuchh ishaara-e-ham-raaz se utha

yarab tu laj rakh mere shauq-e-fuzul ki
duniya hai nind mein meri aawaz se utha

ek manzar-e-kinara-e-baam aur de gaya
partaw sa koi us ke dar-baz se utha

main kya ki mere baad bhi jo log wan gae
koi na us ki anjuman-e-naz se utha

'madni' qafas mein subh hui aur us ke baad
dil se dhuan bhi hasrat-e-parwaz se utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close