gili miTTi hath mein le kar baiTha hun

gili mitti hath mein le kar baitha hun
zehn mein ek dhundle paikar se uljha hun

pis raha hai dil ko ek wazni patthar
dub ko banhon mein bhar kar main hansta hun

tere hathon ne mujh mein sab rang bhare
lekin har pal ye ehsas adhura hun

dhup kabhi chamkegi is ummid pe main
barf ke dariya mein sadiyon se leta hun

is jaanib kab ude baadal ne dekha
phir bhi main tanha sarsabz jazira hun

mera karb meri tanhai ki zinat
main chehron ke jangal ka sannata hun

ek dhundli taswir abhi aaankhon mein hai
is wadi se dur bhala kab rahta hun

raat ufuq par kuchh saye lahrae the
'amabar' ab tak aas lagae baitha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close