gin rahe hain dil-e-nakaam ke din phir wahi gardish-e-ayyam ke din dukh se aaghaz aur gham pe akhir hum ne pae bade inam ke din hai yahi soch kar aaram hamein mil gae hain unhen aaram ke din ab nahin kaam koi duniya ka goya ye din hain bade kaam ke din hain wo phir se mere nazdik 'naim' aae andesha-e-anjam ke din