giraft-e-karb se aazad ai dil ho hi jaunga abhi rasta hun main ek roz manzil ho hi jaunga utar jaane de wahshat mere sar se habs-e-khalwat ki main bit-tadrij phir manus-e-mahfil ho hi jaunga gire gar mujh pe barq-e-iltifat-e-chashm-e-tar har dam to main bil-jabr teri samt mail ho hi jaunga ba-sad tarkib rakkhe hain qadam tartib se main ne agar tartib ye bigdi main zail ho hi jaunga mata-e-jaan to meri zat ka hissa hai ek din main tu mil jaega to insan-e-kaamil ho hi jaunga meri mazlumiyat ki raushni har-su bikharne de sar-e-maqtal main pesh-e-tegh-e-qatil ho hi jaunga zara sa thahar jaen be-khudi ki muztarib maujen ai dasht-e-gham main ek khamosh sahil ho hi jaunga payambar dard ka ban ke tu gar duniya mein aaega sahifa ban ke ashkon ka main nazil ho hi jaunga kaha us ne qarib aa kar 'nadim' ashaar ki surat rag-e-afkar mein teri main shamil ho hi jaunga