giraft-e-zist mein hun qaid-e-be-hisar mein hun azab-e-arsa-gah-e-jabr-o-ikhtiyar mein hun khayal hai to abhi dhundh phir milun na milun abhi main tere udae hue ghubar mein hun bhadak raha hai badan ruh ko khabar bhi nahin ye kya maqam hai ye kaise shoala-zar mein hun main kaun hun tere nazdik ye sawal nahin hubab hun ki sadaf bahar-e-be-kanar mein hun khud apne aap se har dam hun barsar-e-paikar main apni zat ke maidan-e-kar-zar mein hun mein bhed kya tujhe dun be-karan khalaon ke ki main azal se isi halqa-e-madar mein hun talash kis ki hai mujh ko abhi ye kya sochun 'bashir' abhi to main apne hi intizar mein hun