git mere hain magar nur-e-suKHan us ka hai

git mere hain magar nur-e-sukhan us ka hai
haq to ye hai ki mera jauhar-e-fan us ka hai

phul to phul hain kanton ki rawish bhi us ki
baghban kuchh bhi kahe rang-e-chaman us ka hai

sabz mausam ki mere dar pe jo dastak jagi
main ne jaana ki yahi tarz-e-sukhan us ka hai

mauj-e-gul baad-e-saba rang-e-chaman aab-e-rawan
sare aalam mein agar hai to chalan us ka hai

us ki pahchan faqat koh-o-samundar se nahin
zarra-e-khak bhi khurshid-e-watan us ka hai

is se kya farq pade tarz-e-nawa-sanji par
hamd us ki hai labon par ki bhajan us ka hai

main yam-e-waqt mein bahta hua tinka 'nami'
ye zamin us ki tamasha-e-zaman us ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close