gul-o-saman ki tarah dil mein hans rahe hain hum ye aur baat ba-zahir bujhe bujhe hain hum koi bhi wahima gumrah kar nahin sakta tere khayal ki zanjir mein bandhe hain hum kabhi to uljha kiye kaise kaise logon se kabhi to aise hua khud se lad pade hain hum nigar-khane mein taswir-e-khasta-tar ki tarah kisi ke samne kab se saje hue hain hum kiye hain auron pe tanqid-o-tabsare lekin khud apna jaeza ab tak na le sake hain hum hamesha aap ko samjha ki aap apne hain hamesha aap ne samjha ki dusre hain hum 'kamal' hum se khushamad kisi ki ho na saki is e'tibar se mashhur sar-phire hain hum