gulab-chehre pe shab ka eajaz bolta hai

gulab-chehre pe shab ka eajaz bolta hai
wo chup hai lekin nazar ka andaz bolta hai

main jaise khushbu ki barishon main naha raha hun
hawa ke honton se koi gul-baz bolta hai

mujhi mein raushan charagh-e-naghma magar abhi tak
mujhe guman hai ki parda-e-saz bolta hai

pukarti hai koi sada mujh ko dasht-e-jaan se
ye tu hai ya mera wahm-e-awaz bolta hai

parind har chand qaid to ho gaya hai lekin
har ek bun-e-mu se josh-e-parwaz bolta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close