gulshan mein bandobast ba-rang-e-digar hai aaj

gulshan mein bandobast ba-rang-e-digar hai aaj
qumri ka tauq halqa-e-bairun-e-dar hai aaj
aata hai ek para-e-dil har fughan ke sath
tar-e-nafas kamand-e-shikar-e-asar hai aaj
ai aafiyat kinara kar ai intizam chal
sailab-e-girya darpai-e-diwar-o-dar hai aaj
mazuli-e-tapish hui ifraat-e-intizar
chashm-e-kushada halqa-e-bairun-e-dar hai aaj
hairat-farosh-e-sad-nigarani hai iztirar
sar-rishta chaak-e-jeb ka tar-e-nazar hai aaj
hun dagh-e-nim-rangi-e-sham-e-visal-e-yar
nur-e-charagh-e-bazm se josh-e-sahar hai aaj
karti hai aajizi-e-safar sokhtan tamam
pairahan-e-khasak mein ghubar-e-sharar hai aaj
ta-subh hai ba-manzil-e-maqsad rasidani
dud-e-charagh-e-khana ghubar-e-safar hai aaj
dur-uftada-e-chaman-e-fikr hai 'asad'
murgh-e-khayal bulbul-e-be-baal-o-par hai aaj
This is a great intezaar shayari in hindi for boyfriend. True lovers of azizi shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this pari shayari images is truly a work of art. Please share if you liked this!!!