gumrahi ka meri saman hua jata hai rasta zist ka aasan hua jata hai ek taraf ruh ki parwaz ko jaise tayyar ek taraf jism ki be-jaan hua jata hai dasht-e-ghurbat hai ki aabaad hamare dam se ghar ka aangan hai ki viran hua jata hai kyun na phir dhup bhi ban jae ghata jab hum par aap ka saya-e-mizhgan hua jata hai kah diya aap ne kya kan mein chupke se ise dil mein barpa mere haijaan hua jata hai aap ki meri hi ghazlon ki hain katran sari jin se wo sahab-e-diwan hua jata hai di hai chupke se 'obaid' us ne labon par dastak shor barpa tah-e-shiryan hua jata hai