guzar chali hai shab-e-dil-figar aaKHiri bar

guzar chali hai shab-e-dil-figar aakhiri bar
bichhadne wale hain yaron se yar aakhiri bar

damak raha hai sahar ki jabin pe bosa-e-shab
thapak rahi hai saba ru-e-yar aakhiri bar

zara si der ko hai pattiyon pe shisha-e-nam
guzar rahi hai kiran aar-par aakhiri bar

ye baat khemon ke jalte diye bhi jaante the
ki hum ko bujhna hai tartib-war aakhiri bar

kisi alaw ka shoala bhadak ke bolta hai
safar kathin hai magar ek bar aakhiri bar

sumon se udti hui reg-e-dasht dhundhti hai
ghubar hote hue shahsawar aakhiri bar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close