
guzar gaya jo mere dil pe saneha ban kar utar gaya wo meri ruh mein khuda ban kar tera khayal shab-e-hijr phailta hi gaya hazar rang ki sochon ka silsila ban kar wafa ke sang se takra ke ehtijaj-e-ana salib-e-lab pe sisakne laga dua ban kar badan ke dasht mein man ki hasin subhon ko nikal raha hai gham-e-dahr azhdaha ban kar kabhi to dip jalen gul khilen faza mahke kabhi to aa shab-e-viran mein ratjaga ban kar tamam umr jise dhundte rahe 'aali' kahin mila bhi agar wo to fasla ban kar
This is a great wali shayari. Please share if you liked this!!!