guzar kar aadmi rah-e-musibat se sanwarta hai

guzar kar aadmi rah-e-musibat se sanwarta hai
qamar ka nur shab ki zulmaton mein hi nikharta hai

ba-juz dard-e-hayat-e-gham nahin milta kahin kuchh bhi
bashar duniya-e-fani mein jahan se bhi guzarta hai

gulon ki pattiyan jaise gulon se ruth jati hain
dam-e-tanhai-e-gham kuchh mera dil yun bikharta hai

ba-surat qatra-e-shabnam hun main khar-e-gulistan par
mera dil zahmat-e-mehr-e-darakhshan se bhi darta hai

ye dekha hai nahin be-faiz aamad abr-e-naisan ki
koi anjam hota hai bashar jo kuchh bhi karta hai

farishton ka guzar jin manzilon se ghair-mumkin hai
bashar ki azmaten dekho wahan se bhi guzarta hai

nikohish nakhun-e-nadan pe qabu pa hi jati hai
bada parhez karte hain kahin tab zakhm bharta hai

sambhal ai firqa-e-ushshaq ab phir imtihan hoga
sar-e-chilman kisi kafir ka phir gesu sanwarta hai

ulajhte hain tere kuche mein jo murgh-e-chaman ke pair
dam-e-parwaz gulshan se kisi ka dil bhi bharta hai

fana karta hai pahle zindagi ki har tamanna ko
kahin tab ja ke insan pasti-e-gham se ubharta hai

isi bais wufur-e-gham mein aksar 'naz' hanste hain
musibat aur badhti hai jo gham se jitna darta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close