guzar rahi hai magar khase iztirab ke sath khayal bhi nazar aane lage hain khwab ke sath talash mein hun kisi khurdure kinare ki nibah ab nahin hota hubab-o-ab ke sath shab-e-firaq hai 'sidhdhaarth' ki tarah gum-sum hawas bhi hue rukhsat tere hijab ke sath talluqat ka tanqid se hai yarana kisi ka zikr kare kaun ehtisab ke sath judi hui hai har ek shakhs ki 'fuzail' yahan gharaz kisi na kisi sahab-e-nisab ke sath