guzre lamhat ka ehsas hua jata hai

guzre lamhat ka ehsas hua jata hai
daman-e-waqt yunhi mujh se chhata jata hai

main ujale ko mohabbat ka khuda likhta hun
wo andhere hi se manus hua jata hai

jis ki khushbu se fazaon mein mahak thi shab-bhar
subh-dam us ki taraf sanp badha jata hai

mujh ko dar hai koi aabid na bahak jae kahin
dil-ruba chand ka andaz hua jata hai

dur rah kar bhi rag-e-jaan se lipat jate hain
aur is dil mein ujala sa hua jata hai

is qadar zahr pilaya mujhe us ne 'alam'
talkhi-e-zist ka ehsas mita jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close