guzregi kya jamal-e-rukh-e-yar dekh kar hairat hai husn hasrat-e-didar dekh kar na-sazi-e-jahan ki to parwa kabhi na thi ji bujh gaya hai tum ko dil-azar dekh kar is dil-figar-e-shauq ki hasrat na pochhiye majruh ho gaya ho jo talwar dekh kar aankhen hui thin chaar ki pahlu mein kuchh na tha dil kho gaya nigah-e-kharidar dekh kar koi khula hua hai to koi chhupa hua waiz na chhed mujh ko gunahgar dekh kar betab kar diya nigah-e-iltifat ne aansu nikal pade unhen gham-khwar dekh kar 'kaukab' dayar-e-ishq kuchh aisa udas hai roti hai bekasi dar-o-diwar dekh kar