haal mein apne magan ho fikr-e-ainda na ho

haal mein apne magan ho fikr-e-ainda na ho
ye usi insan se mumkin hai jo zinda na ho

kam se kam harf-e-tamanna ki saza itni to de
jurat-e-jurm-e-sukhan bhi mujh ko aainda na ho

be-gunahi jurm tha apna so is koshish mein hun
srukh-ru main bhi rahun qatil bhi sharminda na ho

zulmaton ki madh-khwani aur is andaz se
ye kisi parwarda-e-shab ka numainda na ho

main bahar-surat tera karb-e-taghaful sah gaya
ab mujhe is ka sila de sirf sharminda na ho

zindagi tishna bhi hai be-rang bhi lekin 'surur'
jab talak chehra farogh-e-mai se tabinda na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close