hadd-e-nazar tak raat hi raat aisa safar aur tera sat mauj-o-hawa ki samt na dekh jalti rahegi sham-e-hayat zarf-e-kufr-o-iman tang tez sharab-e-ehsasat mujh ko ek insan ki talash tu masruf-e-zat-o-sifat meri jabin par bhi hain 'shor' kuchh sajdon ke ilzamat