hadis-e-soz-o-saz-e-sham-o-parwana nahin kahte

hadis-e-soz-o-saz-e-sham-o-parwana nahin kahte
hum apna haal-e-dil kahte hain afsana nahin kahte

wahi mai-nosh raaz-e-baada-e-ulfat samajhte hain
jo masti ko rahin-e-jam-o-paimana nahin kahte

saadat soz-e-dil ki bhi badi mushkil se milti hai
sar-e-mahfil har ek shoale ko parwana nahin kahte

hamara tuta saghar hi hamare kaam aaega
kisi ke zarf ko hum apna paimana nahin kahte

ye kaisa inqalab aaya jahan-e-be-niyazi mein
ki wo bhi apne diwane ko diwana nahin kahte

'figar' ashaar mein apne hain raqsan shokhiyan gham ki
kali ki dastan phulon ka afsana nahin kahte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close