hae wo yaad kahan hai ki khuda khair kare dil mein phir amn-o-aman hai ki khuda khair kare ek khuda hai jo mahz guftugu mein hai maujud aur usi se ye guman hai ki khuda khair kare mujh mein ek dasht sa qaem hai magar chaaron taraf shahr ka shahr rawan hai ki khuda khair kare jo zamane se chhupani thi mujhe har wo baat sher-dar-sher bayan hai ki khuda khair kare