hai aaina-khane mein tera zauq-faza raqs karte hain bahut se tere ham-shakl juda raqs be-zakhm sada dene lage saz ajab kya gar karne lagen khud-bakhud aalat-e-ghina raqs ho gar na teri bagh mein aane ki tawaqqo kyun sarw ko talim kare baad-e-saba raqs wan qafila manzil pe bhi pahuncha magar ab tak hum karte hain sahra mein ba-awaz-e-dara raqs hai wadi-e-gham wo ki gar aa jaen idhar khizr rashe se kare hath mein hazrat ke asa raqs maqul sahi wajd ka hila magar ai shaikh achchha nahin ba-in-hama-tamkin-o-haya raqs yun hi to kharabaat mein aao ki sarasar ya baada hai ya bang hai ya naghma hai ya raqs yan tum ko ye aawaz-e-daf-o-chang mubarak be-kashmakash-e-khirqa-o-tasbih-o-rida raqs 'nazim' tere ashaar mein hain mani-e-tauhid is zamzame par karte hain mardan-e-khuda raqs