hai agarche shahr mein apni shanasai bahut

hai agarche shahr mein apni shanasai bahut
phir bhi rahta hai hamein ehsas-e-tanhai bahut

ab ye socha hai ki apni zat mein simte rahen
hum ne kar ke dekh li sab se shanasai bahut

munh chhupa kar aastin mein der tak rote rahe
raat dhalti chandni mein us ki yaad aai bahut

qatra qatra ashk-e-gham aankhon se aakhir bah gae
hum ne palkon ki unhen zanjir pahnai bahut

apna saya bhi juda lagta hai apni zat se
hum ne us se dil lagane ki saza pai bahut

ab to sail-e-dard tham jae sakun dil ko mile
zakhm-e-dil mein aa chuki hai ab to gahrai bahut

sham ke sayon ki surat phailte jate hain hum
lag rahi tang hum ko ghar ki angnai bahut

aaina ban ke wo surat samne jab aa gai
aks apna dekh kar mujh ko hansi aai bahut

wo sahar tarikiyon mein aaj bhi ru-posh hai
jis ke gham mein kho chuki aankhon ki binai bahut

main to jhonka tha asir-e-dam kya hota 'kalim'
us ne zulfon ki mujhe zanjir pahnai bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close