hai dil-e-sozan mein tur uski tajalli-gah ka

hai dil-e-sozan mein tur us ki tajalli-gah ka
ru-e-atishnak har shola hai meri aah ka

wasl kya hum khaksaron ko ho is dil-khwah ka
khak mein aaluda hona kab hai mumkin mah ka

nur-afshan jab se hai dil mein khayal us mah ka
tur ka shola dhuan hai meri sham-e-ah ka

qamat-e-mauzun nazar aae mujhe ja-e-alif
tha shuru-e-ashiqi din meri bismillah ka

samjhe mai-kash dekh kar abru teri baala-e-chashm
mai-kade se martaba aala hai baitullah ka

aamad-e-khat mein to hone de nigahon ka guzar
dekh le bachne nahin pata hai sabza rah ka

khalq ne quran dekha jab hua mah-e-rajab
hum ne dekha mushaf-e-rukhsar apne mah ka

aate hi us tifl ke raushan siyah-khana hua
shama san jalwa hai us ke qamat-e-kotah ka

yar ka 'nasikh' phata hai pairahan to aib kya
hai katan ko chaak karna kaam nur-e-mah ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close