hai dil ko is tarah se mere yar ki talash

hai dil ko is tarah se mere yar ki talash
jis tarah thi kalim ko didar ki talash

hon rind sar khula bhi jo howe to dar nahin
zahid nahin ki mujh ko ho dastar ki talash

main hun kahin pa aathon pahar hai usi ki fikr
jati nahin hai dil se mere yar ki talash

dil hathon-hath bik gaya bazar-e-ishq mein
karni padi na mujh ko kharidar ki talash

apne hi dil mein dhundhna lazim tha yar ko
itne dinon jo ki bhi to be-kar ki talash

baiana naqd-e-jaan karo 'sayyah' pesh-kash
rahti hai un ko aaise kharidar ki talash


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close