hai dushmanon se bhi wabasta husn-e-zan mera

hai dushmanon se bhi wabasta husn-e-zan mera
yahi kamal hai mujh mein yahi hai fan mera

main mausamon ke taghayyur se kanp uthta hun
bhari bahaar mein ujda tha kal chaman mera

main dasht chhod ke aaya hun ai nagar walo
ki lagte lagte lagega yahan pe man mera

hai itni bhuk mere warison ko wirse ki
kharid lae mere jite-ji kafan mera

usi ne ek naya zakhm de ke chhod diya
ki dastiyab jise bhi hua badan mera

tamam shahr hi naqqad ho gaya 'adil'
parakh rahe hain kasauti pe sab sukhan mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close