hai irtibaat-shikan daeron mein bat jaana chaman ka mauja-e-baad-e-saba se kat jaana kiran ke haq mein ye suraj ka faisla kyun hai jo farsh-e-khak pukare to dur hat jaana main par-shikasta na tha baadalon ke bich magar meri udan ka zanjir se lipat jaana ye saz-o-rakht-e-dil-e-bahra-mand kya shai hai tamam bikhre hue dard ka simat jaana ye kaun jhank raha tha daricha-e-shab se ajab saman tha ghane baadalon ka chhat jaana kahin pe dast-e-nigarin kahin lab-e-lalin wo sote sote meri nind ka uchat jaana miyan-e-rah ajab pur-faza thi gahri jhil main dub jata ki achchha hua palat jaana