hai jo bhi jaza saza ata ho hona hai jo aaj barmala ho us din bhi jo sar pe dhup chamki jis din pe bahut farefta ho us raat bhi nind agar na aai jis raat pe is qadar fida ho rangon mein wahi to rang nikla jo teri nazar mein jach gaya ho phulon mein wahi to phul thahra jo tere salam ko khila ho ek shakhs khuda bana hua hai kya ho jo yahi mera khuda ho saugand mujhe ghazal ki 'gauhar' main ne jo zaban se kuchh kaha ho