hai mere pahlu mein aur mujh ko nazar aata nahin is pari ka sehr yaro kuchh kaha jata nahin ashk ki barish mein dil se gham nikal aata nahin ghar se bahar meinh barasne mein koi jata nahin chaak-e-jeb apne ko main bhi jun gareban-e-sahar naseha ta-daman-e-mahshar tu silwata nahin shama san rishte par ulfat ke laga dete hain sar aashiq aur mashuq sa bhi dusra nata nahin bas-ki tere hijr mein hai na-gawara akl-o-sharb dil ba-juz khun-e-jigar ai jaan kuchh khata nahin main hi tum sab ka bana tir-e-malamat ka nishan us but-e-sarkash ko yaro koi samjhata nahin wae ye ghaflat ki dariya bich qatre ki tarah aap hi mein aap ko dhundun hun aur pata nahin tark-e-ishq us sarw-e-baala ka kiya hai jab se dil aalam-e-baala se baalai khabar lata nahin bas-ki hai ham-rang washud se 'muhib' us bagh mein dil ko ghair-az-ghuncha-e-taswir kuchh bhata nahin