hai meri zist tere gham se farozan jaanan

hai meri zist tere gham se farozan jaanan
kaun kahta hai mujhe be-sar-o-saman jaanan

teri yaaden mere hamrah ba-har-gam hain jab
main ne samjha hi nahin khud ko pareshan jaanan

nabz-e-ehsas bahut sust hui jati hai
dil ko darkar hai phir dard ka paikan jaanan

hanste hanste nazar aate the jahan ghuncha-o-gul
viran viran sa lage hai wo gulistan jaanan

ab na wo soz na wo saz hai dil mein phir bhi
ek aawaz si aati hai ki jaanan jaanan

zikr-e-mazi se gurezan hun ye sach hai lekin
yaad hai aaj bhi mujh ko tera paiman jaanan

itni tanhai ka ehsas musalsal ho agar
apne sae se bhi dar jata hai insan jaanan

tere hathon ki wo mehndi wo tera surkh libas
is tasawwur se bhi dil hai mera larzan jaanan

ek muddat hui go ahd-e-bahaaran guzre
chaak hai aaj talak mera gareban jaanan

main tujhe bhul na paya to ye chahat hai meri
yaad rakkha hai jo tu ne tera ehsan jaanan

aaj 'khalid' ke khayalat ki har rahguzar
hai tere husn ke partaw se charaghan jaanan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close