hai mohabbat sab ko us ke abru-e-khamdar ki hind mein kya aabru baqi rahi talwar ki wasl ki shab chandni diwar se jaane na pae minnaten karta hun har khar-e-sar-e-diwar ki ustura phirne se ru-e-yar par hai daur-e-khat chaal us kam-bakht ne sikhi hai kya parkar ki nashsha-e-mai ka guman karne laga wo bad-guman dekh kar surkhi hamare dida-e-khun-bar ki ghar bhi mera muntazir hai yar ka meri tarah rauzan-e-dar mein hai surat dida-e-bedar ki kahte ho hum khwab mein aate jo tu sota kabhi khub ki barbaad mehnat dida-e-bedar ki bagh-e-alam mein kahan hai koi mujh sa rahm-dil roz karta hun ayaadat nargis-e-bimar ki dagh-e-sar hain josh-e-sauda mein ba-rang-e-gul mujhe misl-e-gulbun panw mein kab hai shikayat khar ki wo khuda ka dost hai aur dost hai us ka khuda kyun na ho 'nasikh' mohabbat haidar-e-karrar ki