hai mol-bhao mein bazar mein hai sath mere wo ek kar-e-fana-zar mein hai sath mere salib-e-jaan se visal aasman ke sahil tak har ek lazzat-e-azar mein hai sath mere kabhi to hero banata hai aur kabhi joker har ek rang ke kirdar mein hai sath mere yahi bahut hai mere jism o jaan ka hissa hai kahin to mauja-e-khun-bar mein hai sath mere ajab guman hai jaise ki sarfaraaz hun main ajib fitna-e-dastar mein hai sath mere kabhi mujhe bhi zara mojaza-numa karta jo apni zat ke asrar mein hai sath mere wo dastaras mein hai lekin nazar se ghaeb hai harif-e-jaan koi paikar mein hai sath mere main ek nigah ko mahsus kar raha hun mudam koi to reg-e-fana-zar mein hai sath mere wo sare kheme lagata hai phir ukhadta hai sarab-e-manzil-o-asar mein hai sath mere jo chhod deta hai dasht-e-zawal mein tanha wo rel-pel mein bazar mein hai sath mere