hai ye takiya teri ataon par

hai ye takiya teri ataon par
wahi israr hai khataon par

rahen na-ashna zamane se
haq hai tera ye aashnaon par

rahrawo ba-khabar raho ki guman
rahzani ka hai rahnumaon par

hai wo der aashna to aib hai kya
marte hain hum inhin adaon par

us ke kuche mein hain wo be-par o baal
udte phirte hain jo hawaon par

shahsawaron pe band hai jo rah
waqf hai yan barahna panw par

nahin munim ko us ki bund nasib
meinh barasta hai jo gadaon par

nahin mahdud bakhshishen teri
zahidon par na parsaon par

haq se darkhwast afw ki 'haali'
kije kis munh se in khataon par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close