hail thi bich mein jo razai tamam shab

hail thi bich mein jo razai tamam shab
is gham se hum ko nind na aai tamam shab

ki yas se hawas ne ladai tamam shab
tum ne to khub rah dikhai tamam shab

phir bhi to khatm ho na saki aarzu ki baat
har chand hum ne un ko sunai tamam shab

bebak milte hi jo hue hum to sharm se
aankh us pari ne phir na milai tamam shab

dil khub jaanta hai ki tum kis khayal se
karte rahe adu ki burai tamam shab

phir sham hi se kyun wo chale the chhuda ke hath
dukhti rahi jo un ki kalai tamam shab

'hasrat' se kuchh wo aate hi aise hue khafa
phir ho saki na un se safai tamam shab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close